tere aane ki khabar deti rahi pagal hawa tujh talak meri haya le kar gai pagal hawa dhup kachchi sham tanha aur andheron ka hujum un mein apna aks dikhlati chali pagal hawa din dhale ghar laut aana qufl karna hasraten kyun nahin ye khatm hota sochti pagal hawa shahr mein tere hain tujh ko bhulne ki zid badi be-sabab dil ki badhati bekali pagal hawa ab to ye aalam magar wo khush nahin main bhi nahin us ka har gham mujh se aksar bantti pagal hawa lab pe aati baat rah jati labon ke darmiyan aam mat kar raaz-e-dil kah rokti pagal hawa hukmaran kahne laga hai chor hai sare makin dekhti ahl-e-watan ki bebasi pagal hawa