na to main hur ka maftun na pari ka aashiq khak ke putle ka hai khak ka putla aashiq sakht-jaani se faqat main hi raha hun zinda mar gae warna gham-e-hijr se kiya kya aashiq sarw-o-qumri gul-o-bulbul hain usi ke jalwe aap mashuq hai wo aap hai apna aashiq ishq-e-kaamil mein to hajat amal-e-hub ki nahin qais mashuq bana ho gai lila aashiq band aankhen thin abhi mujh ko jo laya sayyaad na to hun sarw ka warafta na gul ka aashiq pahle hi katib-e-taqdir ne likkha tha hamein tera banda tera fidwi tera ruswa aashiq aarzu hai meri mayyat pe wo roe kah kar hai ye 'ajiz' mera shaida mera pyara aashiq