tere abru pe bal aaya to hota zara ghairon ko dhamkaya to hota bajae farsh main aankhen bichhata tu apne wade par aaya to hota samajhte farsh par hum chadar-e-gul tera ai rashk-e-gul saya to hota shikayat aaegi ai jazb-e-ulfat janaze par use laya to hota kiya tha gar falak tu ne siyah-bakht to main us mah ka saya to hota na hota dard-e-sar phir tum ko 'ajiz' sar us ke dar pe takraya to hota