kuchh der kali raat ke pahlu mein let ke laya hun apne hathon mein jugnu samet ke do chaar daon khel ke wo sard pad gaya ab kya karoge tash ke patton ko phet ke us sanwle se jism ko dekha hi tha ki bas ghulne lage zaban pe maze chaaklet ke jaise koi libas na ho us ke jism par yun rasta chale hai badan ko samet ke main us ke intizar mein baitha hi rah gaya kapdon mein rakh gaya wo badan ko lapet ke har falsafe ko waqt ne aise mita diya jaise koi nuqush mita de salet ke wo hans raha tha dur khada aur chand log le ja rahe the us ko kafan mein lapet ke