tere aks se meri zat mein hai latif hijr-o-visal sa

tere aks se meri zat mein hai latif hijr-o-visal sa
dam-e-subh koi umang si sar-e-sham koi malal sa

teri bu-e-khush ke surur se teri raushni ke wafur se
mere nain gahre siyah se mera rang surkh gulal sa

magar aagahi ki talab se hai hama-waqt nok-e-zaban par
koi lafz lafz-e-guman sa koi harf harf-e-sawal sa

jise zindagi ke rafu libas ke sare bakhiye qubul hain
use phir labaada qaza ka bhi hua narm reshon ki shaal sa

chalo dhunden shahar-e-numud mein koi shakhs paikar-e-zindagi
koi dosti ki nazir sa koi dilbari ki misal sa

mera intiqam bhi harf hain mera ehtimam bhi harf hain
kabhi git git tarang si kabhi sher sher wabaal sa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close