tere baad is jahan mein koi dusra nahin tha are be-misal tujh sa koi bewafa nahin tha mera dubta safina kahun kaise par utra mere sath ek khuda tha koi na-khuda nahin tha tere ishq ke talatum ne dubo diya hai warna to ai mauj-e-reg main bhi koi bulbula nahin tha to thithurti sardiyon mein kabhi aag lene aati main jigar jalae rakhta koi dil-jala nahin tha wo misal-e-khwab-e-manzar na lage palak palak se koi khwab phir na jage mujhe ye pata nahin tha tere is mariz-e-dil tak tu kabhi pahunch na pai tu ye baat so chhupae main kahin chhupa nahin tha main tamam hosh kho kar tere dar pe jaan se jata tere ghar ke raston mein kahin mai-kada nahin tha