bahut hasin thi kabhi ye duniya mere mutabiq magar raha ab na us ka chehra mere mutabiq main is liye ek darakht se baat kar rahi hun rahega chup ya jawab dega mere mutabiq tere likhe ko ghalat nahin kah rahi main lekin sawal ye hai ki kyon na likkha mere mutabiq yahan pe sab mere khanwade se aashna hain mera taaruf na ho sakega mere mutabiq tere mutabiq main teri rudad sun chuki hun nahin hai kirdar us mein mera mere mutabiq nikal de tu hi meri aankhon ki suiyan ab na aaega koi shahzada mere mutabiq main gungunati faqat tera nam us ki lai par magar ye kam-bakht dil na dhadka mere mutabiq