tere baghair ajab baam-o-dar ka aalam hai kahan wo dasht ka hoga jo ghar ka aalam hai pade gharon pe ye uftad kya ki logon ke qayam se bhi numayan safar ka aalam hai jo dekhte hain wo tahrir kar nahin sakte ye mere shahr ke ahl-e-hunar ka aalam hai zara jo chhanw mein baitho to jism jal jae ye saya-dar hai ye is shajar ka aalam hai sukut sa hai udhar bhi idhar bhi sannata jo manzilon ka wahi rahguzar ka aalam hai mere aur us ke sitare ab ek hain 'khawar' jo kal idhar tha wahi ab udhar ka aalam hai