narm faza ki karwaten dil ko dukha ke rah gain thandi hawaen bhi teri yaad dila ke rah gain sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain mujh ko kharab kar gain nim-nigahiyan teri mujh se hayat o maut bhi aankhen chura ke rah gain husn-e-nazar-fareb mein kis ko kalam tha magar teri adaen aaj to dil mein sama ke rah gain tab kahin kuchh pata chala sidq-o-khulus-e-husn ka jab wo nigahen ishq se baaten bana ke rah gain tere khiram-e-naz se aaj wahan chaman khile faslen bahaar ki jahan khak uda ke rah gain puchh na un nigahon ki turfa karishma-saziyan fitne sula ke rah gain fitne jaga ke rah gain taron ki aankh bhi bhar aai meri sada-e-dard par un ki nigahen bhi tera nam bata ke rah gain uf ye zamin ki gardishen aah ye gham ki thokaren ye bhi to bakht-e-khufta ke shane hila ke rah gain aur to ahl-e-dard kaun sambhaalta bhala han teri shadmaniyan un ko rula ke rah gain yaad kuchh aain is tarah bhuli hui kahaniyan khoe hue dilon mein aaj dard utha ke rah gain saz-e-nashat-e-zindagi aaj laraz laraz utha kis ki nigahen ishq ka dard suna ke rah gain tum nahin aae aur raat rah gai rah dekhti taron ki mahfilen bhi aaj aankhen bichha ke rah gain jhum ke phir chalin hawaen wajd mein aain phir fazaen phir teri yaad ki ghataen sinon pe chha ke rah gain qalb o nigah ki ye id uf ye maal-e-qurb-o-did charkh ki gardishen tujhe mujh se chhupa ke rah gain phir hain wahi udasiyan phir wahi suni kaenat ahl-e-tarab ki mahfilen rang jama ke rah gain kaun sukun de saka gham-zadagan-e-ishq ko bhigti raaten bhi 'firaq' aag laga ke rah gain