tere baghair ajab bazm-e-dil ka aalam hai charagh sainkadon jalte hain raushni kam hai jo ji rahe hain unhi ke liye har ek gham hai zahe-nasib ki phulon ki zindagi kam hai qafas se aae chaman mein to bas yahi dekha bahaar kahte hain jis ko khizan ka aalam hai khayal-e-tark-e-mohabbat ki khair ho yarab kuchh aaj mast nigahon ki be-rukhi kam hai banae hain isi shabnam ne sainkadon dariya nahin malal jo dariya harif-e-shabnam hai kaha ye dil ne suni guftugu jo naseh ki mubaalagha hai bahut is mein waqia kam hai bahaar aae chaman mein ye intizar na dekh 'shakil' apne junun ki bahaar kya kam hai