wasl bhi hoga 'hasan' tu tuk to istiqlal kar haal apna hum se kah kah hum ko mat behaal kar sarban garm-e-hudi hai aur jaras hai nara-zan tu bhi tuk mahmil ke aage gard-e-majnun haal kar shama san jitna sunaya haal ro ro us ko main uth gaya aakhir wo sab baaten hansi mein tal kar mashq-e-jaur-o-zulm to karta hi jata hai wo shokh tu bhi dil sabr-o-tahammul ka ab istimal kar aish-o-ishrat ko na de tu rah dil mein ai 'hasan' dard-o-gham hi se kisi ke is ko mala-mal kar