tere bazuon ka sahaara to le lun magar in mein bhi rach gai hai thakan

tere bazuon ka sahaara to le lun magar in mein bhi rach gai hai thakan
main sahra se bach kar chaman mein to aaun pa sahra se kuchh kam nahin ye chaman

meri zist ki rah tarik thi chand ban kar tum aae to raushan hui
ye rah aaj phir tira-o-tar hai ghaaliban chand ko lag gaya hai gahan

har ek samt nagin ki surat lapakti hui tirgi se hirasan na ho
ajab kya ki lau de uthe mere lams-e-farozan se tera sulagta badan

ye ashkon se bhigi hui muskurahat murawwat ka eajaz hai warna hum
ghamon ki hawaon mein udta hua dekh kar aa rahe hain koi pairahan

firaq-e-lab-o-zulf par munhasir kam hi pai hai ahl-e-wafa ki tadap
tum aaghosh ke tang halqe mein ho phir bhi har lamha afzun hai dil ki jalan

mere pyar ko ek nae mod par dekh kar yun meri jaan tajjub na kar
badalte rahe hain badalte rahenge zamane ke hamrah dil ke chalan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close