tere bhai ko chaha ab teri karta hun pa-bosi mujhe sartaj kar rakh jaan mein aashiq hun maurusi rafu kar de hain aisa pyar jo aashiq hain yaksu sin phada kar aur sin shaal apni kahta hai mujhe tu si hua makhfi maza ab shahidi sin shahad ki zahir magar zambur ne shirini un honton ki ja chusi kise ye tab jo us ki tajalli mein rahe thahra rumuz-e-taur lati hai sajan teri kamar mu si samata nain izar apne mein abtar dekh rang us ka kare kim-khwab so jaane ki yun pate hain jasusi ba-rang-e-shama kyun yaqub ki aankhen nahin raushan zamane mein suna yusuf ka pairahan tha fanusi na chhodun us lab-e-irfan ko 'naji' aur luta dun sab mile gar mujh ko mulk-e-khusrawi aur taj-e-kausi