tere bhi munh ki raushni raat gai thi mah se mil tab se tab rukh se rukh nur se nur zil se zil yusuf-e-misr se magar milte hain sab tere nishan zulf se zulf lab se lab chashm se chashm til se til jitne hain kushtagan-e-ishq un ke azal se hain mile ashk se ashk nam se nam khun se khun gil se gil jab se mua hai kohkan karte hain us ka gham sada koh se koh ju se ju sang se sang sil se sil yar mila jab ai 'nazir' mere gale, to mil gae jism se jism jaan se jaan ruh se ruh dil se dil