tere bimar-e-gham ki soz-o-samani nahin jati ye aalam hai ki ab surat bhi pahchani nahin jati dil-e-nadan ye kya zid hai ki khelunga hasinon mein are kam-bakht teri ab bhi nadani nahin jati na jaane kis ki zulfon ka nazara kar liya main ne ki mere dil ki uljhan aur pareshani nahin jati wo laya jam saqi shaikh ji thodi si pi bhi lo aji do-chaar ghunton se musalmani nahin jati jo dil deta hai 'shabbar' aaina-rukh husn walon ko samajh lo zindagi bhar us ki hairani nahin jati