tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi

tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi
kahan se baat nikli aur kahan tak baat ja pahunchi

gham-e-pinhan ki fariyaad-o-fughan tak baat ja pahunchi
chhupai lakh lekin har zaban tak baat ja pahunchi

hui pahle to kuchh aapas mein an-ban baada-khwaron mein
badhi jab baat to pir-e-mughan tak baat ja pahunchi

bahut khoe hue the hum jawani ki bahaaron mein
yakayak hosh aaya jab khizan tak baat ja pahunchi

mere matam ko tinke aa rahe hain ud ke gulshan se
qafas ka zikr kya ab aashiyan tak baat ja pahunchi

gareban-e-sahar ki dhajjiyan ud jaengi 'shabbar'
agar mere junun ki aasman tak baat ja pahunchi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close