tere charagh se raushan hue sabhi ke charagh

tere charagh se raushan hue sabhi ke charagh
hamare kaam na aae teri gali ke charagh

andhera bantana fitrat hai duniya walon ki
ujala de nahin sakte hain dushmani ke charagh

gham-e-hayat ke zor-e-sitam se tang aa kar
bujha ke rakh diye main ne bhi bebasi ke charagh

tamam umr ujala na ho saka hasil
tamam log jalate rahe khudi ke charagh

har ek samt mukhalif hawaen hain 'khalid'
jalen to kaise jalen meri zindagi ke charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close