tere darsan ki main hun sain mati muje lawo piya chhati sun chhati piyare hat dhar sambhaalo munj kun ki til til duti tuj mati daraati piram pyala pilawo munj kun dam dam ki tun hai do jagat mein munj sangati na rakhun tuj nayan mein rakhun dil mein ki tun mera piyara jiw ka sati piya ke dhyan sun main mast hun mast munje birhe ke binan ki sunati agar yak til pade antar piya sun nayan jal sun sapat samdar bharaati nabi sadqe kahe 'qubta' ki pyari rijha dam dam adhar pyala pilati