tere gham-khwar ka mamul khuda hi jaane kis qadar rahta hai mashghul khuda hi jaane hum ne ulfat ka sabaq sikha hai diwanon se us ka ba-qaeda school khuda hi jaane jubba-sai dar-e-jaanan pe kiya karta hun kis liye kyon mera mamul khuda hi jaane ujde gulshan mein mere dil ke bahaaren aaen dagh-e-dil ban gae kyon phul khuda hi jaane aaj-kal hum se wo khaif hain khilaf-e-adat jaane kya hum se hui bhul khuda hi jaane dekhte dekhte 'asi' ne hidayat pa li kis tarah ho gaya maqbul khuda hi jaane