tere hai zulf o rukh ki did subh-o-sham aashiq ka yahi hai kufr aashiq ka yahi islam aashiq ka piya pe qadah-e-labrez de ai saqi-e-mastan tahi tujh daur mein afsos rahwe jam aashiq ka har ek yan manzil-e-maqsud ko pahunche hai tujh se hi magar ek khalq mein firqa hai sau nakaam aashiq ka kabhi mashuq ko marte na dekha dar pe aashiq ke yahi baqi hai sar mashuq ke ilzam aashiq ka hua hai khat 'nasir' aaghaz us mah-ru ke chehre par do-chand ab ye nazar aata hai kuchh anjam aashiq ka