yaqin se nikle to jaise guman ki zad mein hain ye kya tazad hai hum kis ziyan ki zad mein hain bahut tawil hain goya ruton ki zanjiren nae shagufe sabhi raftagan ki zad mein hain unhen nasib ho ab mawara koi saat azal se ped bahaar-o-khizan ki zad mein hain wahi safar hai samundar bhi kashtiyan bhi wahi hawaen ab ke magar baadban ki zad mein hain suno charagh bujha do tamam kheme ke mere aziz shab-e-imtihan ki zad mein hain jo hum pe arsa-e-khush-manzari mein bit gain kahaniyan hain magar kab bayan ki zad mein hain