tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho ta sar-e-dar pahunchne ka sahaara bhi to ho shikwa o tanz se bhi kaam nikal jate hain ghairat-e-ishq ko lekin ye gawara bhi to ho mai-kashon mein na sahi tishna-labon mein hi sahi koi gosha teri mahfil mein hamara bhi to ho kis taraf mod den tuti hui kashti apni aise tufan mein kahin koi kinara bhi to ho hai gham-e-ishq mein ek lazzat-e-jawed magar is gham-e-dahr se ai dil koi chaara bhi to ho mai-kade bhar pe tera haq hai magar pir-e-mughan ek kisi chiz pe rindon ka ijara bhi to ho ashk-e-khunin se jo sinche the bayaban hum ne un mein ab lala o nasrin ka nazara bhi to ho jam ubal padte hain mai lutti hai khum tutte hain nigah-e-naz ka dar-parda ishaara bhi to ho pi to lun aankhon mein umde hue aansu lekin dil pe qabu bhi to ho zabt ka yara bhi to ho aap is wadi-e-viran mein kahan aa pahunche main gunahgar magar main ne pukara bhi to ho