tere hasad ke muqabil koi safai nahin

tere hasad ke muqabil koi safai nahin
tu chhota shakhs hai tujh se meri ladai nahin

wahi libas wahi haw-hu wahi main hun
tumhaare baad kisi ne hansi udai nahin

charagh bujhne se pahle sahar banate hain
ye apna din hai sahab suni-sunai nahin

ghilaf khol agar aag dekhni hai tujhe
ye ek aag jo main ne bhi aazmai nahin

palatne deta nahin hun main us ki aawazen
ye meri khasta-tani hai gurez-pai nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close