tere honton pe saja hai kya hai tera har rang dua hai kya hai tere aangan mein luta hai kya hai wo bhi barish mein khula hai kya hai rang chadhte hain utar jate hain mausam-e-hijr pata hai kya hai log alfaz badal lete hain aur chehron pe likha hai kya hai apni barbaad nigahi ke sitam ek dar aur khula hai kya hai mere hathon ki lakiron pe na ja tu ne khud hi to likha hai kya hai khud se milta hun bichhad jata hun khwab zanjir hua hai kya hai naddiyan khushk hui jati hain koi us par khada hai kya hai meri aankhon se qayamat barse jo bhi kuchh tu ne diya hai kya hai apne waqton ki zaban bolta hun phir ye bazar laga hai kya hai meri basti mein udasi kaisi shahar ki samt chala hai kya hai kitni khush-posh faza hai 'khurshid' teri aankhon ka nasha hai kya hai