tere huzur jo do-chaar din guzar aaya wo faiz-yab hua aaqibat sanwar aaya nasib wale hain wade wafa hue jin ke hamare nam jo aaya to intizar aaya chala to chalta gaya ek junun manzil mein agarche rasta pur-sang-o-khar-dar aaya main aaj aaya hun khas aap ke bulawe par agarche bazm mein pahle bhi bar bar aaya mera chaman raha sadiyon se amn ka mehwar ye kaun aaya ki har samt intishaar aaya hamare ghar hi na aaya to phir bala se meri hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya chhuda ke hath gaya 'nazr'-e-gul ke mausam mein kali ko thand lagi puchhne ko khar aaya