tufan samajh liya kabhi sahil bana liya ai shauq-e-be-aman tujhe manzil bana liya ab jism-o-jaan-e-naz pe tuten qayamaten us se gurez kya jise hasil bana liya kuchh intiha-e-shauq ke the silsile ajab mushkil nahin tha jo use mushkil bana liya jis din ki intizar tha karna nahin kiya khud ko mizaj-e-yar ke qabil bana liya us rah par chale jo zamane se hat ke thi aur kar-e-zindagi tujhe mushkil bana liya chhoda nahin banae bana zimme jo bhi tha phir bhi nahin kuchh aisa ki be-dil bana liya jab chaha ai samay tujhe raunaq se kat kar khalwat-nashini-e-shab-e-mahfil bana liya pani hi kya hawa bhi nahin e'tibar ki ye jaan kar thikana sar-e-gil bana liya