tere huzur na khali kisi ka jam raha wo khush-nasib to main hun ki tishna-kaam raha alam-nasib raha aur talkh-kaam raha magar fareb-e-mohabbat ka ehtiram raha sharab-e-ishq se labrez jis ka jam raha wo zindagi ki tag-o-dau mein shad-kaam raha mazaq-e-did sar-e-tur tishna-kaam raha tamam ho ke ye afsana na-tamam raha na subh-e-nur ka jalwa na kaif-e-sham raha bala-nasib chaman mein bhi zer-e-dam raha mujhe na dijiye tane ki sakht-jaan hun main ye zindagi hai ki jina mujhe haram raha na ras aaegi ai baghban bahaar ise agar chaman ka yahi rukh yahi nizam raha samajh sakega mere zarf-e-baada-khwari ko jo mai-kade mein kabhi shaikh ka qiyam raha khud apne dil mein tajalli ko pa liya hum ne kalim-e-tur se afzal to ye maqam raha wafa-shiar nahin hum magar qusur muaf wo kaun hai sar-e-fihrist jis ka nam raha