sharab-e-husn se kuchh aise hum hue maKHmur

sharab-e-husn se kuchh aise hum hue makhmur
ki hosh tak na tha baqi kahan ka husn-e-shuur

wafa ka ek hi aain ek hi dastur
dil aadmi ka rahe soz-e-ishq se mamur

kalim yun bhi sunao hamein fasana-e-tur
jo tum mein tha wo nazar aaya tum ko kitni dur

jo hum nahin hain to bekar hai khuda ka zuhur
na is mein koi talli na is mein koi ghurur

kashan kashan yahan le aaya mera husn-e-shuur
na meri is mein khata hai na mera is mein qusur

tera karam ki mujhe de diya dil-e-ranjur
nahin to jine na deta mujhe hawas ka shuur

kashakash-e-gham-e-dauran se hai wo koson dur
ki jis ko gham pe tabassum ka aa gaya hai shuur

hamare sajde khuda to tumhein bana na sake
hamara kufr zamane mein ho gaya mashhur

mere khuda meri haq-goi ke waqar ki khair
wo roz mujh ko sunate hain qissa-e-mansur

mere gunah ki tauqir ai teri qudrat
ki is syahi ne bakhsha hai kaenat ko nur

tadap hi dil ki lagi jab to lutf-e-zist kahan
ilaj-e-dard-e-mohabbat hamein nahin manzur

hazar parde hon lekin wo rah nahin sakte
meri nigah se ojhal mere khayal se dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close