tere ishq mein zindagani luta di ajab khel khela jawani luta di nahin dil mein dagh-e-tamanna bhi baqi unhin par se un ki nishani luta di kuchh is tarah zalim ne dekha ki hum ne na socha na samjha jawani luta di tumhaare hi karan tumhaari badaulat tumhaari qasam zindagani luta di adaon ko dekha nigahon ko dekha hazaron tarah se jawani luta di ghazab to ye hai hum ne mahfil ki mahfil suna kar wafa ki kahani luta di jahan koi dekha hasin jalwa-ara wahin hum ne apni jawani luta di nigahon se saqi ne sahba-e-ulfat sitam ye hai ta-dur-e-sani luta di jawani ke jazbon se allah samjhe jawani jo dekhi jawani luta di bujhai hai pyas aaj daman ki hum ne sharab-e-nazar kar ke pani luta di tumhin par se 'bahzad' ne be-khudi mein kya dil tasadduq jawani luta di