tere jaane ka gham kam nahin chashm phir bhi meri nam nahin dil kahin ab lage kaise jab ghar hi mera munazzam nahin shahr bhar mein hain bismil magar dhundho to koi marham nahin ye bhi hai ek asar ishq ka sab luta kar bhi kuchh gham nahin sab ki peshani par silwaten kaun hai jo ki barham nahin us ki nazar-e-inayat to hai silsila par ye paiham nahin