sahilon ka bhi na ehsan tha gawara mujh ko itna dariya ke talatum ne sanwara mujh ko pyas aisi hai ki andar se sulagta hai badan aur pani ke siwa kuchh nahin chaara mujh ko ab to daman ko lapakte hain lahu ke shoale aur pukare hai kahin khun ka dhaara mujh ko khun-baha le ke abhi khair se palte bhi na the maqtal-e-khauf mein phir kis ne pukara mujh ko pasdari ki jaden main ne hila kar rakh din wo samajhte the faqat int aur gara mujh ko ajnabi shahr ki begana mizaji ke khilaf mere sae ne diya kitna sahaara mujh ko dard hi dard kamate ho magar kahte ho ishq ke khel mein hota hai khasara mujh ko surmai sham ke chehre pe haya ka aanchal achchha lagta hai bahut aisa nazara mujh ko main to jugnu ki tarah shab mein pareshan hairan raat bhi kahti hai aawara sitara mujh ko