tere junun mein sahe jaan par sitam kya kya ki main ne dekhe zamane ke pech-o-kham kya kya tere qarib na aata agar khabar hoti ki qurbaton mein bhi poshida hain alam kya kya bichhad ke tujh se bahut dur main chala aaya uthae phirta hun phir bhi main tere gham kya kya tu jaanta hi nahin kya hai ye mohabbat bhi rah-e-wafa mein uthae hain dukh sanam kya kya har ek haal mein 'shahzad' main karunga wafa bala se rah mein aaenge zer-o-bam kya kya