tere khayal se phir aankh meri pur-nam hai ki gham ziyaada hai aur hausla mera kam hai baqa ke waste sadiyon se jang jari hai fana ke shor-sharabe se nak mein dam hai nahin to kab ka mukammal main ho chuka hota jise main apna samajhta hun us mein kuchh kam hai ajib daur hai ye daur mary mushkil ka sawal mein hai na koi jawab mein dam hai main jis ko dhund raha hun kai zamanon se mujhe ho ilm ki wo meri zat mein zam hai namaz padhta hun aur us ko yaad karta hun mere khayal mein ek panchwan bhi mausam hai