kahin to phenk hi denge ye bar sanson ka uthae bojh jo phirte hain yar sanson ka ana ghurur takabbur hayat kuchh bhi nahin ki sara khel hai pyare ye chaar sanson ka chalo ye zindagi zinda-dili se jite hain badhega is tarah kuchh to waqar sanson ka gulabi hont wo honton pe rakh ke kahti thi sada rahega ye tujh par khumar sanson ka bade qarib se guzri hai maut chhu ke tujhe jo ho sake koi sadqa utar sanson ka hawa ye wajd mein aa kar diye se kahne lagi ki ab tu sah nahin paega war sanson ka hum is ko zindagi samjhen to kis tarah 'arshad' kisi ke hath mein hai ikhtiyar sanson ka