tere khulus ke qisse suna raha hun main purana qarz hai ab tak chuka raha hun main khuda kare ki wahi baat us ke dil mein ho jo baat kahne ki himmat juta raha hun main safar kahan se kahan tak pahunch gaya mera ruke jo panw to kandhon pe ja raha hun main samaaton ke sabhi dar yahan muqaffal hain na jaane kab se sadaen laga raha hun main laga hun aaj hifazat mein khud charaghon ki kai dinon to mukhalif hawa raha hun main ye aql, hosh, nazar, khwab, lams, goyai lo aaj daw pe sab kuchh laga raha hun main ki jab bhi chahen unhen dhund len meri aanhken is ehtiyat se manzar saja raha hun main mere baghair koi tum ko dhundta kaise tumhein pata hai tumhaara pata raha hun main