buton ke ghar ki taraf kabe ke safar se phire hazar shukr ki jite khuda ke ghar se phire mariz-e-hijr ka koi ilaj kar dekhe asar dawa se dawa hukm-e-chaara-gar se phire mahine bhar ka to rasta hai par dua ye hai ki peshtar wo qamar daura-e-qamar se phire nigah-e-lutf se dekho shabab aa jae shab-e-guzishta abhi gardish-e-nazar se phire wo rashk-e-mahr jo saqi ho umr baqi ho ziyaada saghar-e-mai charkh-e-fitna-gar se phire nigah pherne mein lutf kya hai rahne do ye tir kis liye ulta mere jigar se phire kahenge baad-e-fana hum se dostan-e-adam bhare-pure ki tahi-dast is safar se phire na mangen bosa-e-rukhsar chhatiyan na chhuen tabiat apni jo ai but gul-o-samar se phire falak ne kucha-e-maqsad ki band ki rahen bhala batao ki qismat meri kidhar se phire dikhae mauj-zani bahr-e-ashk agar apna har aasiya-e-falak-ab chashm-e-tar se phire 'munir' ko hai wo dauran-e-sar maaz-allah ki sunne walon ka sar zikr-e-dard-e-sar se phire