tere kuche ka rahnuma chahta hun magar ghair ka naqsh-e-pa chahta hun jahan tak ho tujh se jafa chahta hun ki main imtihan-e-wafa chahta hun khuda se tera chahna chahta hun mera chahna dekh kya chahta hun kahan rang-e-wahdat kahan zauq-e-waslat main apne ko tujh se juda chahta hun barabar rahi hadd-e-yar-o-mohabbat kisi ko main be-intiha chahta hun kahan hai teri barq-e-josh-e-tajalli ki main saz-o-barg-e-fana chahta hun wo jab kho chuke mujh ko hasti se apni to kahte hain ab main mila chahta hun junun-e-mohabbat mein pand-e-adu kya bhala main kisi ka bura chahta hun tabiat ki mushkil-pasandi to dekho hasinon se tark-e-wafa chahta hun jo dil main ne chaha to kya khak chaha ki dil bhi to be-muddaa chahta hun ye hasrat ki lazzat ye zauq-e-tamanna shab-e-wasl un se haya chahta hun siwa is ke main kya kahun tum se 'asi' ki darwesh ho tum dua chahta hun