tere labon pe agar surkhi-e-wafa hi nahin to ye banao ye saj dhaj tujhe rawa hi nahin main teri ruh ki patti ki tarah kanp gaya hawa-e-subh-e-subuk-gam ko pata hi nahin kisi umid ke phulon bhare shabistan se jo aankh mal ke utha hun to wo hua hi nahin faraaz-e-sham se girta raha fasana-e-shab gada-e-gauhar-e-guftar ne suna hi nahin chamak raha hai meri zindagi ka har lamha main kya karun ki meri aankh mein ziya hi nahin