tere lahje teri baaton mein koi aur bhi tha

tere lahje teri baaton mein koi aur bhi tha
yun tere chahne walon mein koi aur bhi tha

main to sharminda hun us roz se bistar se tere
jab se jaana tere khwabon mein koi aur bhi tha

yun mujhe tut ke mat chaho ki main jaanta hun
mujh se pahle teri banhon mein koi aur bhi tha

ajnabi shahr ki sadkon pe mara hun be-shak
jaan-lewa meri rahon mein koi aur bhi tha

go ki mahfil mein unhen hum se hai matlab lekin
un ki be-tab nigahon mein koi aur bhi tha

wo jo roe the gale lag ke hamare 'faisal'
un ke bahte hue ashkon mein koi aur bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close