yaqin jata raha eatibar khatm hua tumhaare ishq ka sara khumar khatm hua kahan se laun wo hangama-ha-e-ishq-o-junun wo shoala-asa dil-e-be-qarar khatm hua nikal raha hun tere halqa-e-mohabbat se ki gard baith chuki aur ghubar khatm hua jahan bahaaren thin apnon ki chahchahahat thi wo be-charagh pada sabza-zar khatm hua laga ke aag kai mehrban chalte bane hamare shahr ka sab karobar khatm hua khizan ka daur hai shakhon pe barg-o-bar nahin tumhaare jate hi ahd-e-bahaar khatm hua