tere mariz ko ai jaan shifa se kya matlab wo khush hai dard mein us ko dawa se kya matlab faqat jo zat ke hain dil se chahne wale unhen karishma-o-naz-o-ada se kya matlab nihaal-e-taza rahen namiya ke minnat-kash darakht-e-khushk ko nashw-o-numa se kya matlab murad-o-maqsad-o-matlab hain sab hawas ke sath hawas hi mar gai phir muddaa se kya matlab mujhe wo puchhe to us ka hi lutf hai warna wo baadshah hai use mujh gada se kya matlab jo apne yar ke jaur-o-jafa mein hain masrur unhen phir aur ke mehr-o-wafa se kya matlab raza-e-dost jinhen chahiye ba-har-surat 'nazir' phir unhen apni raza se kya matlab