ne zakhm-e-khun-chakan hun na halq-e-burida hun aashiq hun main kisi ka aur aafat-rasida hun hasti se apni mujh ko nahin mutlaq aagahi umr-e-guzishta ya ki ghazal-e-ramida hun nikle hai meri waza se ek shorish-e-junun dariya nahin main sail-e-gireban-darida hun murghan-e-bagh mein mere nale ka shor hai har-chand main abhi nafs-e-na-kashida hun pahunche saza ko apni jo munh par mere chadhe main dast-e-rozgar mein tegh-e-kashida hun jata hai jald qafila-e-umr kis qadar mohlat nahin hai itni ki tuk aarmida hun kaun uth gaya hai pas se mere jo 'mushafi' rota hun zar zar pada aab-dida hun