tere mere ghar ki haalat bahar kuchh aur andar kuchh jaise ho phulon ki rangat bahar kuchh aur andar kuchh bahar bahar khamoshi hai andar andar hangama kaisi hai ye jism ki hiddat bahar kuchh aur andar kuchh lafz hai kuchh aur mani kuchh har misre mein fankar hai gham aise waise sher ki lazzat bahar kuchh aur andar kuchh kyun na aankh mein aansu aae kyun na dil ko chot lage apne apne des ki haalat bahar kuchh aur andar kuchh koi na shayad jaan sakega suraj ki matwali chaal shahr mein kyun hai dhup ki shiddat bahar kuchh aur andar kuchh gahri nazar walon mein 'akhtar' raushan hai pahchan alag phir bhi kyun hai aap ki izzat bahar kuchh aur andar kuchh