tere naqsh-e-pa hon jis mein wo dagar kahan se laun ho hamesha sath tera wo safar kahan se laun koi aish hai dawami na qarar koi daem na ho jis ki sham koi wo sahar kahan se laun wo khudi kahan se laun tere jabr ko jo tode tah-e-tegh sar jhuka de main wo sar kahan se laun pare aasman se pahunchun yahi aarzu hai lekin wo tadap kahan se laun main wo par kahan se laun dar-e-dilruba pe 'jauhar' bhala kaise pahunchun aakhir main shikasta-pa hun aashiq wo safar kahan se laun