ye mat samjho ki mujh ko gham nahin hai magar shikwon ka ye mausam nahin hai hukumat mein badi taqat hai lekin mohabbat bhi kisi se kam nahin hai agar hai husn tera misl-e-shola to mera ishq bhi shabnam nahin hai main apne zakhm-e-dil kis ko dikhaun kisi ke pas bhi marham nahin hai mare hain un ki chaukhat par hi 'jauhar' hamein marne ka koi gham nahin hai