tere nazdik aata ja raha hun wajud apna mitata ja raha hun muqaddar aazmata ja raha hun main tujh se dil lagata ja raha hun zabani tir khata ja raha hun main phir bhi muskuraata ja raha hun tujhe pane ki ek khwahish mein jaanan main kitne zakhm khata ja raha hun andheron se bahut darta hun lekin charaghon ko bujhata ja raha hun rakhe the rah mein jo doston ne main sab patthar hatata ja raha hun laga kar aag apne hi makan mein main shoalon ko bujhata ja raha hun azal ki samt se chal kar main 'arif' abad ki samt jata ja raha hun