tere nigah-e-karam jab bikhar gai hogi kisi gharib ki duniya sanwar gai hogi tujhi ko dhundhti phirti hain dar-ba-dar aankhen azal ke roz tujhi par nazar gai hogi sukut-e-saz-e-do-alam sunai deta hai tere firaq mein duniya thahar gai hogi sahar ke chahne wale ka kya hua hoga ba-nam-e-tira-shabi jab sahar gai hogi wo ek khabar ki jo ruswaiyon ka bais thi hazar rang mein wo ek khabar gai hogi sahar ke narm-o-khunuk dudhiya ujalon mein tere jamal ki rangat bikhar gai hogi ye shash-jihat hai tere qatilon ka des to phir tere khulus ki arthi kidhar gai hogi