tere rukh ko jab ai sanam dekhte hain khuda ko khuda ki qasam dekhte hain tumhein dekhte hon to dide hi phuten buto shan-e-maula ko hum dekhte hain gila ghair ka kya azizon se apne na dushman bhi dekhe jo hum dekhte hain mila karte hain sab se hum jhuk ke daim kaman ki tarah khud mein kham dekhte hain zamane ne kaba kalisa mein dekha magar us ko is dil mein hum dekhte hain chadha lete hain sab tabarruk samajh kar na whiskey na tharra na rum dekhte hain mita dete hain us ko chaqu se 'asghar' mera nam jis ja raqam dekhte hain