raaz mat apna bata sab ka magar hamraaz ban gar zamana apna karna ho zamana-saz ban chot kha sine pe apne nara-e-hu-haq laga soz ki tujh ko tamanna hai to misl-e-saz ban lakh roton ko hansao is ke hum qail nahin murde ji utthen sarapa sur ki aawaz ban be-niyazi pe teri hai naz ai maula mujhe naz-parwarda hun main tu bhi mujassam naz ban