tere sanche mein Dhala tera hi saya hua main

tere sanche mein dhala tera hi saya hua main
dekhte dekhte khud se hi paraya hua main

yaad hai ab bhi mere lams se pighli hui tu
aur tere sanson ki khushbu mein nahaya hua main

chaak tera hai teri mitti teri kuza-gari
jo bhi hun jaisa bhi hun tera banaya hua main

rah-e-ulfat mein ye shohrat hai kahan sab ko nasib
ek majnun tha jo mashhur hua ya hua main

dhundh hi leta hun dukh mein bhi ghazal ke mauzua
teri furqat ka tere gham ka sataya hua main

sab ke honton pe hain ghazlen jo tere nam likhin
ek tere nam se hun bazm mein chhaya hua main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close